Monday 9 February 2009

Tere Aage

Kab tamanna thi ke bewajah tujhe kare pareshan
Intekhaab-e-sher kiya galat tere aage

Tujhe suna to sakte hain aaj bhi woh ghazal
Ruswa kare kyoun meri chahat tere aage

Ab akele rone de mujhe,o sang-dil sanam
Abas kiya sajda hum bahat tere aage

Bimari badi ajeeb hai,timaardaar kya kare
Khulta hai raaz-e-dil-e-Faiz bas tere aage

Tareeqa

is tarah bhi ajkal dilko samjha leta hoon 
tanhai ko ab main humraaz bula leta hoon

Mere alfaaz na ghazal na gila ban sake
Apni batein ab khud ko suna leta hoon 

tujhse shikwa karne ki bhi koi khwaish nahi
tere dardse dilki mahfil saja leta hoon

nind to aati nahin in lambi raaton mein
is bahane kuch nagmein furqatko suna leta hoon

Tanhayee

yehi duniya kal kisi aur ki deewnai thi
jo aaj yeh meri dulhan hai to khushi kis baat ki?

Itna ooncha ja raha hoon main ke darr lagta hai
kitnon ke pairon ke nishan hain par woh nahin hai

Jitna hi chale bas tanha hote ja rahe hain
Kal jinka kalaam yeh gaati thi unki awaaz aaj kahan hai

Itna sune hain apne bare mein taarif
Ke wajud apna khud bhulte ja rahe hain

Kahin is masrufiyat mein had se na bad jaye qadam
Yehi soch mein aajkal tabah ho ja rahe hain

Speechless it made me

zaroori nahin ki zindagi gham men bitayi jaaye
zaroori nahin ki zindagi ro ro ke bitayi jaaye
zaroori nahin ki kisi ko pyaar kiya jaaye
zaroori nahin ki pyaar ko ehsaan kaha jaaye
zaroori nahin ki dil tootne par raahen band ho jaayen
zaroori nahin ki aansuon ke raaste dard nikal jaaye
zaroori nahin ki chahat ko nafrat men badla jaaye
zaroori nahin ki chahat ke liye lafz chune jaayen
zaroori nahin ki har pal intezaar kiya jaaye
zaroori nahin ki raat hamesha chandni ki ho
zaroori nahin ki khwahish hamesha dilkashi ki ho
zaroori nahin ki rut sada basant ki rahe
zaroori nahin ki har saawan men dil khilen
zaroori nahin ki har raat andheri hi ho
zaroori nahin ki har aankh men roshni ho
zaroori nahin ki kisi ko hamraaz banaya jaaye
zaroori to hai ye sochna ki zindagi kaise bitaayi jaaye
ek khushi ke peechhe sau dukh bhi laati hai zindagi
par har andheri raat ke baad ek roshan subah bhi laati hai zindagi
mana ki aansuon se rulaati hai zindagi
par jeene ke kuchh maqsad bhi sikhati hai zindagi
kuchh kho gaya to zindagi khatam nahin hoti
kuchh paane ka hausla dilaati hai zindagi
ehsaas ko lafzon men bayaan karke kya karoge?
ehsaas ko rooh se milaati hai zindagi
kabhi kho na jao tum bhatak kar raah pe
manzil tumhen baar baar yaad dilati hai zindagi
lafzon ke her pher men ham ulajhte nahin hain Faiz
bas chale aao is paar ki bulaati hai zindagi

Socho To Zara

Phir judaiike sahra mein tu yaad aayi hai
Phir mere aansuonse woh chaman ban gaya hai

usi gulabke rangatpe tum jaan-nisaar ho aaj
Khun-e-jigarse jiski surkhi humne badhaya hai

Kyoun bekhudike duniya mein doob na jayen hum
Unke aaneke waadepe kaun ji paya hai

Meri bazmse ruksat hue to koyee shikwa nahin
Aatish-e-dilse hi to raah-e-manzil paya hai

Khudse naraaz hua phirta hai kyoun aye Faiz
Mansub-e-qaatil kab tune samajh paya hai 

Short couplets

1.
Kya ajeeb haalat mein hum juda ho rahe hain
Main tute dilpe ro raha hoon,woh dil todke ro rahe hain

===========================================================
2.
Mere be-sabab be-wajah sawaalonke aage
woh tera aankhonse haan,hontonsena na yaad hai

Mera haath chhune ke liye bhirr bhare mahfil mein
Jhuke nazarse woh tera har ek bahana yaad hai
===========================================================
3.
Kyoun ho tabah tumpar gar fanaah hona hi hai
Marne ki bhi koi kaamyaab sabab zaruri hai 

Meri hastiko,o bewafaa,kaise karogi nazar-andaaz
Qaafir ban ne ke liye bahat woh rab zaruri hai
===========================================================
4.
Aankh mein boondbhar jo paani hai****
Aapki baaki yehi nishani hai
Pyaarke chaar pal the jo tere liye
Meri zindagiki tamaam kahani hai

===========================================================
5.
Mere begunaahi ka aaj ek aur sabut nikla
Sajda kiye,to tu paththar ka hi boot nikla
Peetke sar,hazaar deewar tod dein lekin
Tera dil to usse bhi zyada mazboot nikla

===========================================================
6.
Humraaz na ban dost is dil-e-nakaam ka
Tere khilaaf bhi isme shikayatein hi darz hai

===========================================================
7.
Mujhse meri tanhai ka sabab na pooch yaar mere
Is kisse se sahrako rula aaya hoon main

===========================================================
7.
Kaise kahdoon teri muhabbat dilse mita diya humne
Dekhle kitni gardishon mein aaj bhi Faiz zinda hai

===========================================================
8.
Dhunde to mil gaya humein raaz-e-khuda bhi
Wafaa ke talaash mein dil bekaraar aaj bhi hai

===========================================================
9.
Chahein to tabah kar dein tumko bas aise hi
Kuch farq hum dono mein aaj bhi salamat hai

===========================================================
10.
Hoke barbaad bhi kabhi bad-dua na kar sake
Koi humse na le taalim mohabbatki

===========================================================
11.
Aake bas itna kahdo "tumse pyaar nahin hai"
Kabhi to tere zubaanse hum labz pyaar sune

===========================================================
12.
Tum agar na milo,qasam tumhari, mar nahin jayenge hum
Bas saanson ka chalna hi magar zindagi nahin hai

===========================================================
13.
Bandh aankhonse paas ho itni
Aankh khuli to sadiyon ki doori
Pyaar hai itna phir bhi kaise
Ek hai duje ki majboori

===========================================================
14.
Tere waadeki haqeeqat main janta hoon jab
Raat bhar nind phir kis ummeed mein aati nahin

Pyaarke dhaage jo asanise kabhi tut-te nahin
Kabhi majboor hoke tu to magar aati nahin

===========================================================
15.
na ho dil mein jagah,thokar mein hi rakhna mujhe
lab nahi na sahi,paironse hi choo lena mujhe

Sawal jawab Again

kuchh to hai tummen jo auron men nahi hai
dil ki gahrai men koi baat dabi hai
kahna jo chahte ho tum woh kah nahi paate
kehte bhi ho to yun ki ham samajh nahin paate
ye kaisi bekasi hai kaisa ehsaas hai
aankhon men ratjage hain dil men ek aas hai
apne bhi dil ka haal kuchh aisa hi samjho
kahne ko hai bahut kuchh par kah nahi paate
socha tha kisi roz tumse kahenge hum
tumhaare bina to hum bhi rah nahi paate


answer
===============================================
ai kashke tum yeh bin kahe samajh jate
humko bhi kahneke kuch bahane mil jate

waise to lakhon batein is dil mein chhupi hai
kashke sunane layak kuch fasane mil jate

is tarahse dil tanha hai ke andazaa nahi hai
kuch tere labonke,hai,tarane mil jate

taqdeer kabhi gardishonke bahar to aaye
kash mujhe bhi chand mausam purane mil jate

humraaz na bana sahra ko ai saqi-e-maikhana
chahta tu to tujhe bhi sathi suhane mil jate 




Sawal Jawab(Obviously between she n me)

ye hayat na kam pade tere intezaar mein
ab to is baatki fiqr lagi rahti hai

kabhi tu raah bhatke aur yeh ghar raoshan ho jaye
isi ummeed me aankhein raat bhar jaagti rahti hai

tere aaneki aahatse hi dhadkanein behaal hai
kya hoga gar tu mile  badi fiqr lagi rahti hai

tu na mili thi jab dil humse gila karta tha
abto har waqt ye jaan dilse khafa rahti hai


Really a beautiful composition, I hvn't words to express it
all I like to say is:

Raah bhi aap hain, manzil bhi aap hain
rooh bhi aap hain aur dil bhi aap hain

ham to baithe hain qatl hone ke intezaar men
qaatil bhi aap hain aur maqttil bhi aap hain

zindagi jab bhi bhatakne chalti hai andheron men
roshni banke jo milti hai woh manzil aap hain

kabhi lagta tha ki duniya men koi hamara nahin hai
aaj dekhiye banke zindagi zindagi men shaamil aap hain
















Nazar

dil chiz kya hai ye to paththar pe asar karte hain
log kahte hain bala ise woh to nazar kahte hain

suraj ke bas me kabse ye din aur raat hone lagi
palkon ke sahare woh shaam-o-sahar karte hain

kaise maang loon ye nazar apne liye ,bata Aseer
kitne hi chaak-e-dil inse zindagi basar karte hain

Khwaab

Aaj phir dost-o-mahol lagne lage hain anjaane
Kal raat phir khwabon mein tujhko apna paya tha humne

Wafaashiyaar bane to gham-e-furqat hi mila tha mujhko
Ae dil bata kal kaunsa gunaah kiya tha humne

Dhund rahen the jis dilko hum kayee zamanese
Tere qadmon kal use phirse paya tha humne

Ro padenge woh,dawa karenge,kal isi badgumanipe
Bewajah phir use haal-e-dil sunaya tha humne

Raah-e-maqtal mil gayi hai masjid ki raahse
Khuda-o-qatilko kal humsakal paya tha humne

Kaisi Mod

Kaunsi yeh mod hai,ya nigaahonka yeh kasoor hai
Zindagike maqsad saare dhundle hote ja rahe hain

Har koi bulaaye aise apni mahfil mein
Jaise bimaronke basti mein payambar hote ja rahe hain

Apna haal-e-dil sunaye aisa humraaz kahan hai
Tanhai ab mere raazdaar bane ja rahe hai

Aisa nahin ke mera koi dost nahin hai
Itne banaye dost ke dushman khudka bane ja rahe hain

Zindagi hanske bitate to shayad achcha hota
Roneke bahane bhi ab kam hi hote ja rahe hain

Gilaa

Hum kabhi nahin samjhe unko,unka yehi dawa hai
Koi samjhaye humko ke unko kya samjhaye
 
Qaatilka ab khwaish hai khud qatal honeki
In qatilana mansubonse ab khuda bachaye

Nazar-andaaz kiye the hume mausam-e-chahat mein
Ab kya roye jo gham-e-aashiqi sataye

Ab bhi agar bulaoge to be-jhijhak chale aayenge
Barbadi-e-dil ka koi naya chara chahiye

Humko gila karneki poori tamanna hai
Us pariosh chahre ko magar kis dampe rulaye

Siyahise ki shayri to sab bekaar gayee
Shayad unko shayri harf-e-khun mein chahiye

Bachne ki ummeed pahlehi kho baithe the
marneki bhi sabab magar nazar na aaye

Ek Ghazal

ek zarra ki qismat hum kya karein bayan
kisike nazr-e-inayat se dekho woh raks-e-aftaab hai

ek dil jise maine kainaat mein dhoonda
dekho woh bhi aaj mujhse milneko betaab hai

sitaronse mukhatib raha dil bahlane ke liye
aaj dekho mere mahfil mein koi banke mahtab hai

tere nazronse piya hai, nashemand ta-umr rahoonga
kis kaamke liye yeh phir wajood-e-sharaab hai

unke aanese raoshan ho gayi hai dilki mahfil
ya khuda kya gazab hai, abhi to rukhpe hijaab hai

Fariyad

Jiski koi subha na ho mujhko khuda woh raat de de
Duniya bhi kuch der mere saath andhere mein rahe

Jo chhup jayen woh jaage hain jab,soye to jaage
Meri ruh bhi Allah kare un sitaron mein rahe

Na ja paye woh meri bazm-e-ehsaas ko chhod kar
Meri mahfil ai kaash in khalk ki nazaron mein rahe

Woh agar ho jayein ruqsat meri mahfilse to bhi mangoon dua
Na mile phool mein to yaad teri angaron mein rahe

Unhe ashiqon ki kami hai nahi sunle aye Faiz
Kya kare tu ke tujh bin bhi woh hazaron mein rahe

Do Dil, my personal choice

Shama to jalti hai bas humein lubhane ke liye
Ek munasib raasta chahiye is deewaane ke liye

Barsonse iqraar ki tamanna dil mein chipaye baithen hain
Koi to bahana mil jaye unko yeh batane ke liye

Unko bhi yeh ehsaas hai phir bhi anjaan banke rahte hain
Unko achcha mila hai mawka humko satane ke liye

Paikaan-e-ishq liye kare intezaar woh,yeh kaise sahein
Hum hi khade hue jab koi na mila nishane ke liye

Koi saqi tanha rahe is mahfil mein mere hote
Nashemand bane hi us saaqi-e-maikhane ke liye

Dilke ye baatein kab tak dil mein liye phirega ,aye Faiz
Koi to mile hamraaz yeh raaz-e-dil sunane ke liye

fir se unhi ka kalaam

main jab chali thi, thi tanha dagar
manzil to thi par na jaane kidhar
kaanton bhara tha mera har safar
thi sooni meri har rahguzar
kadi dhoop thi chhaon bilkul na thi
har ek chehra lagta tha ajnabee
umeedon ke diye the bujhne lage
ki achanak mujhko tum mil gaye
mujhe tum mile kya ki lagne lagi hai
har ek cheez bilkul badli hui si
jidhar dekhte hain fazaan hi alag hai
ab har ek shai men hai muhabbat basi

not mine but writer is mine 4 sure

kya tumne kabhi is taraf bhi hai socha
koi tere aane ka muntazar hai
kisi ki nigahen tiki hain dinon par
koi baat dil men dabi hai kahin par
koi raaz aankhon ne bhi hai chhupaya
tumhaari nazar ne kya jaadu kiya hai
ki dil ye tadapta hai milne ko tumse
tarasti hain nazren tumhen dekhne ko
na jaane kate hain ye din kaise
katenge ye kaise tere aane tak
kuchh kahna hai tumse magar kya kahoon main
bas itna bata do ki aaoge kab tak
ki ham raah takte hain din ginte-ginte
bas itna samajh lo kuchh kahna hai tumse
kahen bhi to kaise ye tum hi bata do
mere soone jazbon ko apni zubaan do
jo ek baat dil men hai uska karen kya
bas itna bata do ki aaoge kab tak
ki ham bhi tadapte hain milne ko tumse

Bebasi

Unko tamanna hai ke hum barhke daaman thaame
Humko yeh ummeed ke woh raaz-e-dil khole

Waise to jab bhi mile humne hazaron batein ki
Bolein bhi to kaise par yeh kaamki baat bole

Dil tarap raha hai kabse bekaraari se
Kya karooon ye majboor lab jo na dilki baat bole

Ek baar to iqraar kar aye mahjabin hasin
Bechain ye dil aaj raatko chainse so le

Nahi tere bas mein izhaar karna aye Aseer
Woh na aaye to aise hi tu unka ho le

Bakwaas

mujhe apna saathi banane se pahle
ye to socho is dil e nakaam se tumhe milega kya?

apne bekaar dhadkanon pe kabu paalo
inse kahdo ye itne nadaan na bane

mere dilne jo makaam tumhe sanwpa hai
ek zarra  ko bhi usse bahat nafrat hai

dilme jo baat hai woh tumse to kah dein lekin
ai kaash mujhe bhi ho khabar kaunse woh baatein hain

banane chale ho jise tum apna saathi
paas aao tumhe uske khilaaf samjhate hain

Anjaam e Muhabbat

Apne pyaarka anjaam janta hoon lekin
Mautko sochke kab zindagi jiya jata hai

Sulagte hue raahon mein kyoun na chale naange paaon
Meri aankhonko teri manzilka pata aata hai

Tumhari benakaab surat hume duniya dikhana chahti hai
Unki nadanipe to yeh dil bhi haans leta hai

Dushman hi sahi,aayenge zahar pilane ke liye
Isi ummeed mein Faiz aaj bhi ji leta hai